Sehsa main chaunka are wah hai kaun
Nistabdh rajni mein khada hai maun
Nahi rok paaya main apne aatur mann ko
Aage badh chala dekhne us aparichit tan ko
Hey agantuk mujhe bhi apni vyatha sunao
Kya beeti hai tumpe saari katha sunao
Jad hi raha woh liye ankhon mein neer
Ankhon se hi kehana usane dil ka peer
Dahala gaya mujhako usaka rakt-ranjit chehara
Ashru phoot pade nayano se, raha na bhavon pe pehara
Ek bijli si kaundhi, dikha jo awaranheen shareer
Mook hi raha woh bana dheer gambhir
Sehasa ek awaaz aayi, aye moorkh mat ban tu anjaan
main hoon tera bhavishya le kar le apni pehchaan
0 comments:
Post a Comment