Safar mein chhod chale tanha yuhi
Soche bhi na woh anjaam humara kya hoga
Kuchh na poochho kya beeti hum pe
Pyar karne walon ko paigham humara kya hoga
Tanha rehne ki aadat si ho gayi hai
Mehfil ki bheed mein sareaam humara kya hoga
hasti toh ab rahi na baaki
Duniya ke bazaar mein ab daam humara kya hoga
Ab jeeke bhi kya karenge kamal
kisi ki nazar mein ab kaam humara kya hoga
0 comments:
Post a Comment